![]() |
Hello Guys, Kaise ho aap sab? Umed karta hu aap sab ache hoge. Jissa ki aap jante ho ki aaj ke time mai technical knowledge hona kitna jaruri hai. kyu ki aaj kal sab kuch digital ho gaya hai. Aur humne bhi duniya ke sath digital bana padega nahi to hum aaj ki bhagti duniya mai piche rahe jayege. Isliye aaj hum sikhege ki microsoft excel ko kaise istaml kare,Chalo ab duniya ke sath chalna hai to kyu na ab microsoft excel ke bare mai jaan. Nahi janege to bhagti duniya ke sath kaise bhagege.
What is Microsoft Excel
Microsoft excel ek advance worksheet program hai jo ki Microsoft corporation ki taraf se aata hai. Yeh ek spreedsheet program application hai, Jahaan suchanaye Row aur Column mai vyavasthit hoti hai. Excel ki help se itni badi table banayi ja sakti hai, jisme dus lakh crore hajaar panch sau chhihattar (1048576) Row tatha solah hajaar teen sau chaurasee (16384) Column ho sakte hai.
Microsoft Excel Spreadsheet Details
How to Start Microsoft Excel
Regular Method: Go To Start Menu > Click On Programs > Then Click On Microsoft Office > Final Setup Click on Microsoft Excel.
Shortcut Method: Press Ctrl + R >> Then Type excel >> Press Ok/Enter.
Home Menu - Clipboard Group:
Iss group mai apko cut, copy, paste command dekhne ko mil jati hai. Jinki help se aap text ko cut, copy, Paste te kar sakte hai.
- Cut: Iss command ki sahayata se select kiye hue text ko Cut kare clipboard mai save kiya ja sakta hai. Cut karne par vo text waha se hat jata hai. (Shortcut Key - Ctrl+X)
- Copy: Iss command ki sahayata se select kiye hue text ki ek aur copy kare clipboard mai save ki ja sakti hai. Copy karne par vo text waha se remove nahi hota. (Shortcut Key - Ctrl+C)
- Paste: Iss Command ki sahayata se clipboard mein save hue text ko cursor ke vartaman sthan par Paste kiya ja sakta hai. Tatha isamen upasthit option ki sahayata se alag-alag format mai paste kiya ja sakta hai. Isse Command ke pass sthit Drop Down Button par click karne par 9 option wala ek Menu open hota hai. Jinmen nimn options diye hue hote hain.(Shortcut Key - Ctrl+V)
- Paste: Iss command ki sahayata se clipboard mein rakhe hue object ko document mein cursor ke vartaman sthan par paste kiya ja sakta hai.
- Formulas: Isse command ki sahayata se clipboard mein rakhe hue object ke formula ko worksheet mein cursor ke vartaman sthan par paste kiya ja sakta hai.
- Paste values: Iss command ki sahayata se clipboard mein rakhe hue object ki value ko cursor ke sthan par paste kiya ja sakta hai.
- No borders: Iss command ki sahayata se clipboard mein rakhe hue object ke formula ko Without Border cursor ke sthan par paste kiya ja sakta hai.
- Transpose: Iss command ki sahayata se clipboard mein rakhe hue object ke formula ko Without Border cursor ke sthan par paste kiya ja sakta hai.
- Paste link: Iss command ki sahayata se clipboard mein rakhe hue object ko anay sthan par Link ke roop mai paste kiya ja sakta hai. Yeh command source file ka address show karti hai.
- Paste special: Iss command ki sahayata se clipboard mein rakhe hue object ko kisee anay sthan par Special roop mai paste kiya ja sakta hai. Aisa karne par donon ke bich mein ek link ban jata hai. Jab first file mein kisee bhi prakar parivartan kiya jata hai to doosri file apne aap update ho jaate hain.
- Paste as Hyperlink: Iss command ki sahayata se clipboard mein rakhe hue object ko kisee anay sthan par Link ke roop mai paste kiya ja sakta hai. Jab hum usse object par mouse se click karte hai toh uss sthan par pahunch jate hai jahan ke liye humen link banaya hai.
- As Picture: Iss command ki sahayata se clipboard mein rakhe hue object ko picture ke roop mein Paste kiya ja sakta hai.
- Format Painter: Iss command ki sahayata se select kiye gaye program ki formatting ko copy kiya ja sakta hai. Tatha doosre program par apply kiya ja sakta hai. Formatting apply karne ke liye use text ya object ko select kare, Jis par aap formatting apply karna chahate hain.(Shortcut Key - Ctrl+Shift+C)
Font Group:
Iss section mein present commands ki help se hum select kiye hue text ka font, font size, bold, italic, underline, increase font size, decrease font size, border, font color, fill color ityadi ko set kiya ja sakta hai.
- Font: Iss command ki sahayata se select kiye hue text ka font ( Hindi, English etc.) Badala ja sakta hai. (Shortcut Key - Ctrl+Shift+F Or Ctrl+D)
- Font Size: Iss command ki sahayata se select kiye hue text ka font size ko badala ja sakta hai.
- Increase Font Size: Iss command ki sahayata se select kiye hue text ka font size ko badhaya ja sakta hai. (Shortcut Key - Ctrl+] Or Ctrl+Shift+>)
- Decrease Font Size: Iss command ki sahayata se select kiye hue text ka font size ko ghataya ja sakta hai. (Shortcut Key - Ctrl+[ Or Ctrl + Shift +<)
- Bold: Iss command ki sahayata se select kiye hue text ko bold kiya ja sakta hai. Ex: TWT ( Shortcut Key - Ctrl + B)
- Italic: Iss command ki sahayata se select kiye hue text ko Italic kiya ja sakta hai. Ex: TWT (Shortcut Key - Ctrl + I)
- Underline: Iss command ki sahayata se select kiye hue text ko underline kiya ja sakta hai tatha iske pass sthit drop down button par click kar ke text ko double underline bhi kiya ja sakta hai. Ex: TWT (Shortcut Key - Ctrl + U)
- Border: Iss command ki sahayata se select kiye hue cell range ke charon aur border lagya ja sakta hai tatha iss button ke pass sthit drop down button par click kar alag border tatha anay option se sambandhit kaary bhi kar sakte hai. Ex: Line color, Draw Border, Draw Border Grid, Erase Border, Line Style more border etc.
- Font Color: Iss command ki sahayata se select kiye hue text ka font color change kar sakte hai.
- Fill Color: Iss command ki sahayata se select kiye hue cell range ka background color change kiya ja sakta hai, Iss ke pass sthit Scroll Down Button par click karke aavashyakat aanusaar color select karke change kiya ja sakta hai.
Alignment Group:
Isse section mein present commands ki sahayata se cell mein present text ka alignment set kiya ja sakta hai.
- Top Align: Iss command ki sahayata se cell mein present text ko upar ki aur vyavasthit kiya ja sakta hai.
- Middle Align: Iss command ki sahayata se cell mein present text ko Cell ke bich mein vyavasthit kiya ja sakta hai.
- Bottom Align: Iss command ki sahayata se cell mein present text ko cell mein niche ki aur vyavasthit kiya ja sakta hai.
- Orientation: Iss command ki sahayata se cell mein present text ko Rotate kiya ja sakta hai.
- Wrap Text: Iss command ki sahayata se cell se aage nikalkar ja rahe text ko next line mein la sakte hai.
- Align Text Left: Iss command ki sahayata se cell mein present text ko left side mein vyavasthit kiya ja sakta hai, ya cell ka alignment left kiya ja sakta hai.
- Centre: Iss command ki sahayata se cell mein present text ko cell ke centre mein vyavasthit kiya ja sakta hai.
- Align Text Right: Iss command ki sahayata se cell mein present text ko cell ki right side mein vyavasthit kiya ja sakta hai.
- Decrease Indent: Iss command ki sahayata se cell mein present text ko aavashyakat aanusaar right side mein vyavasthit kiya ja sakta hai.
- Increase Indent: Iss command ki sahayata se cell mein present text ko aavashyakat aanusaar left side mein vyavasthit kiya ja sakta hai.
- Merge & Centre: Iss command ki sahayata se select ki gai 2 ya 2 se adhik cell range ko merge ( Milaya) kiya ja sakta hai.
Number Group:
Iss section mein present commands ki help se cell ka number format set kiya ja sakta hai.
- Number Format: Iss command ki sahayata se current Cell ke number ko nimn Format mein badala ja sakta hai. Ex: Number, Currency, Accounting, Short Date, Long Date, Time, Percent etc.
- Percent Style: Iss command ki sahayata se select Cell ke number ko Percent Style mein set kar sakte hain. Ex: 1200%
- Comma Style: Iss command ki sahayata se number ko comma Style (Accounting) mein badala ja sakta hai. Ex: 12,700
- Increase Decimal: Iss command ki sahayata se Point ke aage ki value ko ya Decimal count ko badhaya ja sakta hai. Ex: 15.000000
- Decrease Decimal: Iss command ki sahayata se Point ke aage ki value ko ya Decimal count ko ghataya ja sakta hai. Ex: 12.0
Style Group:
Iss section mein present commands ki help se Table tatha Cell ki formatting ki ja sakti hai. Ex: Conditional Formatting, Format as Table, Cell Style etc.
- Conditional Formatting:Iss command ki sahayata se select ki gai Cell range mein Logical Condition ke aadhar par Formatting ki ja sakti hai. Formatting karne ke liye Condition ko select kare.
- Format As Table: Iss command ki sahayata se select cell range ko table style mein badal sakte hai.
- Cell Style: Iss command ki sahayata se Cell ki Style ko badala ja sakta hai.
Cell Group:
Iss section mein present commands ki sahayata se work book mein Cell, Row, Column, Worksheet ityadi ko insert tatha delete kiya ja sakta hai tatha unki formatting ki ja sakti hai. Ex: Row Height, Column Width, Hide & Unhide, Rename Sheet, Move or Copy Sheet, Tab Color, Protect Sheet etc.
- Insert: Iss command ki sahayata se Work Book mein Cell, Row, Column tatha Worksheet ko insert kiya ja sakta hai.
- Delete: Iss command ki sahayata se Work Book mein Cell, Row, Column tatha Worksheet ko delete kiya ja sakta hai.
- Format: Iss command ki sahayata se Worksheet mein formatting ki ja sakti hai.
- Row Height: Iss command ki sahayata se Row ki height ko ghataya or badhaya ja sakta hai.
- Column Width: Iss command ki sahayata se column ki width ko ghataya or badhaya ja sakta hai.
- Hide & Unhide: Iss command ki sahayata se Cell, Row, Column tatha Worksheet ko hide & unhide kiya ja sakta hai.
- Rename Sheet: Iss command ki sahayata se worksheet ka name change kara ja sakta hai.
- Move Or Copy Sheet: Iss command ki sahayata se worksheet ko ek place se dusri place par move ya copy kiya ja sakta hai.
- Tab Color: Iss command ki sahayata se tab color ko set kiya ja sakta hai.
- Protect Sheet: Iss command ki sahayata se work sheet ko password se protect kiya ja Sakta hai.
Editing Group:
Iss section mein present commands ki sahayata se worksheet mein present data ki editing ki ja sakti hai arthat un par mathematics function karna, Cell ke charo aur value Fillup karna, cell se data ko clear karna, data ko sort karna (Ascending & Descending), Word search karna, shabd ki jagah dusra shabd rakhna tatha sidhe kisee place par jana. Ex: Find, Replace, Go to etc.
- Function: Iss commands ki sahayata se worksheet mein store data par Arithmetic and Logical function kiye ja sakte hai. Ex: Sum, Average, If etc.
- Fill: Iss commands ki help se cell mein store data ke charo aur value bhar sakte hai. Ex: Left, Right, Up, Down etc.
- Clear: Iss commands ki sahayata se select ki hui cell range ke data ko hataya ja sakta hai.
- Sort & Filter: Iss commands ki sahayata se cell store mein data ko aarohi (A to Z, 0-9) tatha avarohi (Z to A, 9-0) kram mein vyavasthit kiya ja sakta hai, tatha data ke filter lagakar use customize kiya ja sakta hai.
- Find: Iss commands ki sahayata se worksheet mein se kisee bhi word ya value ko search kiya ja sakta hai. Iss command par click karne par diya gaya dialogue box show hota hai. (Shortcut Key - Ctrl + F)
- Find What: Iss box mein vah text type kare jise aap dhoondhana chahate hai.
- Option: Iss command par click karne par text ko dhoondhne se sambandhit niche diye hue kuch aur option show hote hai.
- Format: Iss command par click karne ke baad text ko dhoondhne par wahi text search hoga jiske formatting apni formatting se milti hai.
- No Format Set: Iss box mein apni formatting ka preview dikhai deta hai.
- Within: Iss box mein yeh select karna hota hai ki humein word, sheet mein dhoondhana hai ya workbook mein.
- Search: Iss box mein yeh select karna hota hai ki humein word, Row wise dhoondhana hai ya column wise dhoondhana hai.
- Look In: Iss box mein yeh select karna hota hai ki humein word, Formulas, Value, Comments mein dhoondhana hai.
- Match Case: Iss check box ko on karne par jisee case mein text 'Find what text box' mein type kar raha hai usse milte case ka text agar document mein hoga toh yeh search karega anyath yeh message show karega ki jise word ko dhoondh rahe hai vah word nahi mila (The search item was not found).
- Replace: Iss command ki help se worksheet mein se kisee bhi word ko search kar uski jagah par dusra word change kiya ja sakta hai. Iss command par click karne par diya gaya dialogue box display hota hai. Displayed dialogue box ke Find what field mein vah text type kare jisee aap badalana chahate hai tatha Replace with mein vah text type kare jo aap change kar ke likhna chahate hai. Ex: agar worksheet mein Sandeep nam likha hai jise badalkar Sandy karna hai toh Find what mein Sandeep aur Replace with mein Sandy type kar Replace command par click karna hoga. Isme Replace command cursor ki vartaman sthiti wale ek hi word ko badalne ke liye tatha Replace All document mein se sabhi Words ko badalne ke liye use ki jati hai. (Shortcut Key - Ctrl + H)
- Go To: Iss command ki help se worksheet mein se kisee bhi place par sidhe hi pahuncha ja sakta hai. Iss command ko chunane ke liye Find ke pass sthit button par click kar sakte hai.
Chapter-2 : Insert Menu
Tables Group:
- Pivot Table: Microsoft Excel mein numeric data ko analysis karne ke liye chart ka prayog kiya jata hai. Agar vah data kaafi jatil (complex) ko to vah data samjhne mein aasan nahi hota hai. Kaafi jatil data ko analysis karne ke liye MS Excel mein pivot table ya pivot chart ka upayog kiya jata hai.
- Table: Ms Excel mein command ki sahayata se table insert ki ja sakti hai.
Links Group:
- Hyperlink: Iss command ki sahayata se worksheet ke vartaman cell mein hyperlink insert kiya ja sakta hai. ( Hyperlink ek vishesh prakar ka neele color mein tatha underline kiya hua text hota hai jismen kisee file ka address chhipa hota hai jab mouse pointer ko iss prakar ke text par le jate hai to mouse pointer hath ke chinh mein badal jata hai tatha mouse ke click karne par vah file open ho jati hai) Iss command ko select karne par dialogue box show hota hai jismen se file ko select kar ok command par click kare. Shortcut Key: Ctrl + K
- Text Box: Iss command ki help se worksheet mein text box ko insert kiya ja sakta hai.
- Header & Footer:
- Header: Iss command ki help se worksheet mein header ko insert kiya ja sakta hai. Header Iss prakar ka text hota hai jo page ke upar ki tarah (Top Side) mein print hota hai. Header mein apna naam, pata (address), company ka naam, logo, date, picture, page number aadi insert kar sakte hai.
- Footer: Iss command ki help se worksheet mein footer ko insert kiya ja sakta hai. Footer Iss prakar ka text hota hai jo page ke niche ki tarah (Bottom Side) mein print hota hai. Footer mein apna naam, pata (address), company ka naam, logo, date, picture, page number aadi insert kar sakte hai.
- Word Art: Iss command ki help se worksheet mein alag alag styles se word insert kar sakte hai. Iske liye word art command mein di gai styles mein se kisee bhi style ko select kare.
- Signature Line: Iss command ki help se worksheet mein apne hastakshar jod sakte hai. Iss command par click karne par ek dialogue box show hota hai. Jisme apko signer, signer's title, signer email address ke option mil jate hai.
- Signer: Iss box mein Jiske hastakshar karna chahate hai uska naam likhe. Ex: Neha, Sandeep etc.
- Signer's Title: Isme hastaksharkarta ka post (pad ka naam) type kare. Ex: Teacher, Doctor etc.
- Signer E-mail Address: Isme hastaksharkarta ka email address type kare. Ex: [email protected] etc.
- Object: Iss command ki help se computer system mein se install kisee bhi program mein koi bhi object bankar usse worksheet mein insert kar sakte hai.
- Symbols: Iss command ki help se worksheet mein symbols insert kar sakte hai. Jaise - *+&₹@
Chapter-3 : Page Layout Menu
- Margin: Iss command ka prayog page ka margin (Page ke charon aur chhodi jane wali khali jagah ko margin kahate hain) set karne ke liye kiya jata hai. Iss command par click karne par ek list khulate hai jismen se kisee bhi option ko chunkar poorv paribhashit margin set kar sakte hai. Page ke margin ko customize karne ke liye pradarshit list mein se Custom margins option ko select karen jisase dialogue box pradarshit hota hai tatha apko margins, page, header/footer, sheet ka option mil jata hai.
- Margins: Iss tab mein diye gaye options ki sahayata se print hone wale page pa Left, Right, Top, Bottom tatha header va footer ka margin set kar sakte hai tatha page ko horizontal tatha vertical roop mein set kiya ja sakta hai. Print button se print nikal sakte hai va print preview button se page ko print hone se pahle uska preview dekh sakte hai aur option button se paper size va uska orientation set kar sakte hai.
- Page: Iss tab mein diye gaye Options ki sahayata se paper size va uska orientation set kar sakte hai.
- Header/Footer: Iss command ki sahayata se worksheet mein header/footer ko insert kiya ja sakta hai.
- Sheet: Iss tab ki sahayata se print area ko set kiya ja sakta hai.
- Orientation: Iss command ki sahayata se page ka Orientation (Portrait & Landscape) set kar sakte hai.
- Size: Iss command ki sahayata se paper size ko select kiya ja sakta hai. Jaise - A4, A5, Legal, Letter ityadi.
- Print Area: Iss command ki sahayata se print area ko set tatha clear kiya ja sakta hai.
- Set Print Area: Iss command ki sahayata se print area ko print kiya ja sakta hai.
- Clear print area: Iss command ki sahayata se print area ko clear kiya ja sakta hai.
- Breaks: Iss command ki sahayata se Page Break, Column Break, Section Break ityaadi lagaye ja sakte hai. Iss command par click karne par nimn option pradarshit hote hai.
- Insert Page Break: Iss command ko chunane par Cell pointer ki vartaman sthiti par page break ho jata hai.
- Remove Page Break: Iss command ki sahayata se insert kiye gaye page break ko remove kiya ja sakta hai.
- Reset All Page Break: Iss Command ki sahayata se insert kiye gaye sabhi page Break ko ek sath set kiya ja sakta hai.
- Background: Iss Command ki sahayata se worksheet ka background set kiya ja sakta hai.
- Print Title: Iss Command ki sahayata se worksheet ke title ko pratyek page par print kiya ja sakta hai.
- Gridlines: Iss command ki help se gridlines se sambandhit sabhi kaary sampann kiye ja sakte hai. Iske andar bhi do option hote hai.
- View: Iss option ki sahayata se gridline ko hide & show kiya ja sakta hai. Agar iss option par right tick ka nishaan laga hai to gridline show hogi anyath gridline hide rahegi.
- Print: Iss option ki sahayata se gridline ko print kiya ja sakta hai. Agar iss option par right tick ka nishaan laga hai to print nikaalte samay gridline print hogi anyath gridline print nahi hogi.
- Headings: Iss command ki help se heading se sambandhit sabhi kaary sampann kiye ja sakte hai. Iske andar do option hote hai.
- View: Iss option ki sahayata se row & column ki headings ko hide & show kiya ja sakta hai. Agar iss option par right tick ka nishaan laga hai to headings show hogi anyath heading hide rahegi.
- Print: Iss option ki sahayata se headings ko print kiya ja sakta hai. Agar iss option par right tick ka nishaan laga hai to print nikaalte samay headings print hogi anyath headings print nahi hogi.
- Bring To Front: Iss command ke options ki sahayata se select kiye hue object ko kisee dusre object ya text ke upar set kiya jata hai.
- Send To Back: Iss command ke options ki sahayata se select kiye hue object ko kisee dusre object ya text ke piche set kiya jata hai.
- Selection Pane: Iss command ki sahayata se selection pane ko pradarshit kiya ja sakta hai tatha insert kiye gaye object ko hide & show kiya ja sakta hai.
- Align: Iss command ke options ki sahayata se select kiye hue object ko sheet ke page ke left, right, top, bottom, middle ya centre mein set kar sakte hai tatha worksheet ki gridlines ko on ya off kar sakte hai.
- Group: Iss command ke options ki sahayata se select kiye hue objects ko milakar unke group banane tatha banaye gaye group ko hatane ke liye kiya jata hai. Group banane ke liye sabse pahle un objects ko select karen (shift+mouse click) jinko milakar group banana chahate hai tatha group mein jakar group command laagoo karen.
- Rotate: Iss command ke options ki sahayata se select kiye hue objects ko horizontal, vertical, left, right ya more rotation option par click kar any style mein bhi ghumaya ja sakta hai.
Chapter-4 : Formulas Menu
- Mathematical Function: Iss command ki help se aap sum, average, count, max, min etc function use kar sakte hai.
- Text Function: Iss command ki help se number & symbol formatting edit ki ja sakta hai.
- Date and Time Function: Iss command ki help se date, time, month, year etc ki formatting ki ja sakti hai.
- Name Manager: Iss command ki sahayata se define kiye gaye name ko dekha ja sakta hai tatha usse edit va delete bhi kiya ja sakta hai.
- Define Name: Iss command ki sahayata se worksheet mein kisee bhi cell ka name define kiya ja sakta hai.
- Use in Formula: Iss command ki sahayata se kisee bhi cell mein formula ka prayog kiya ja sakta hai.
- Create from Selection: Iss command ki sahayata se worksheet mein selection ke aadhar par name ko create kiya ja sakta hai
- Trace precedents: Iss command ko yeh dekhne ke liye prayog mein liya jata hai ki formula mein kis cell range ka prayog kiya gaya hai. Trace precedents kisee chune hue formula cell se uss cell tak teer ka nishaan lagata hai, Jinse formula bana hai.
- Trace Dependent: Iss command ka prayog yeh jaanane ke liye kiya hai ki cell value kis-kis Formula mein prayog ki gai hai. Trace Dependent kisee cell value se lekar formula tak ek teer ka nishaan lagata hai. Jin formula mein vah cell prayog ki gai hai.
- Error Checking: Yeh command uss cell se, jahan ek error hai, vahan se uss cell tak teer ka nishaan lagata hai jiske kaaran vah error aai hai.
- Remove Arrow: Iss command ka prayog sabhi nishan hatane ke liye kiya jata hai.
- Show Formulas: Iss command dvara cell mein prayog kiye gaye formula ko dekh sakte hai.
- Evaluate Formula: Iss command ka prayog cell mein prayog kiye gaye formula ko step by step dekh sakte hai tatha usse prapt result ko bhi dekh sakte hai.
- Watch Window: Iss command ko prayog kar hum sheet mein upasthiti record ko ek ek karke dekh sakte hai.
- Calculation Option: Iss command ki sahayata se calculation se sambandhit option ko automatic & manual kiya ja sakta hai.
- Calculate Now: Iss command ki sahayata sampoorn workbook mein sabhi worksheet ko ek sath calculate karne ke liye kiya jata hai. (Shortcut: F9)
- Calculate Sheet: Iss command ki sahayata sampoorn workbook mein current worksheet ko calculate karne ke liye kiya jata hai.
Chapter-5 Data Menu
- Refresh All: Iss command ki sahayata se external ko refresh kiya ja sakta hai.
- Connection: Iss command ki sahayata se external data arthaat jo data hamein insert kar rakha hai uska connection hum Iss command dvara dekh sakte hai.
- Properties: Iss command ki sahayata se external data ki properties dekh sakte hai.
- Edit Links: Iss command ki sahayata se file mein banaye gaye link ko dekh ja sakta hai.
- Sort: Iss command ki sahayata se select ki hui cell range ke data ko Ascending tatha Descending kram mein vyavasthit kiya ja sakta hai.
- Filter: Iss command ki sahayata se select ki hui cell range ke data ko ek vishesh condition ke anusar data ko dekha ja sakta hai. Cell range select karen ke baad iss command ko laagoo karne par cell range ke upari Row par drop down scroll button lag jata hai. Jis par click kar uss cell range mein upasthit sabhi data ko dekha ja sakta hai.
- Clear: Iss command ki sahayata se select ki hui cell range ke data par lagaye gaye Filter tatha Sort ko hataya ja sakta hai.
- Reapply: Iss command ki sahayata se hataye gaye Filter tatha Sort ko vapis lagaya ja sakta hai.
- Adavance: Iss command ke dvara hamein yeh tay karna hota hai ki filtering ke baad parinam usee sthan par dekhna chahte hai ya kisee any sthan par, praapt parinaam ki copy karna chahte hai.
- Text to Columns: Iss command ki sahayata se cell mein se aage nikalkar ja rahi suchana ko column mein badala ja sakta hai.
- Remove Duplicate: Iss command ki sahayata se select cell range mein se duplicate data ya record ko hataya ja sakta hai.
- Data Validation: Iss command par click karne par nimn option pradarshit hote hai.
- Data Validation: Iss command ki sahayata se input kiye jaane wali cell ya cell range main data input karne ke liye ek vishesh shart lagu kar sakte hain. Baad mein jab abhi hum data value input karte hain to agar vah value lagu ki gai condition ke anusar sahi ho to swikar kar li jayegi anyatha vah value vahan se hata di jayegi. Iss command ko lagu karne per ek dialogue box pradarshit hoga.
- Settings: Yah dialogue box ke pratham tab hoti hai. Jismein hamen yah batana hota hai, ki select cell range mein minimum or maximum kitni value bhari ja sakti hai.
- Input Message: Iss tab dwara hum vah sandesh type kar sakte hain jo hamein data input karte samay yah bataye ki aap is shart ke anusar data input kar sakte hain. Iss tab mein sabse pahle yah batana hota hai ki us sandesh ko hum dekhna chahte hain ya nahi. Sandesh dekhne ke liye show input message wale check box ko on karna hota. Title wale sthan per sandesh ka title tatha input message ke sthan per sandesh type karna hota hai.
- Error Alert: Yah tab galat data enter karne per, sandesh pradarshit karne ke kam aata hai. Sabse pahle hamen batana hota hai ki galat entry karne per sandesh ko pradarshit karna hai ya nahi. Yah karya Show error alert after invalid data check box ko on or off karke kiya ja sakta hai. Style mein hamen input style chunni hai agar humne stop chuna hai to galat entry karne per sandesh pradarshit hoga aur hamen aage nahi badhane dega aur hamen information chuna hai to galat entry karne per sandesh pradarshit hoga per hamen aage badhane se nahi rokega. Title wale sthan per sandesh ka title va error message wale sthan per sandesh type karenge.
- Circle Invalid Data: Iss command dwara input kiye gaye data ko apni shart ke anusar nahi hone per circle lagakar alag se show kiya ja sakte hain.
- Clear Validation Circles: Iss command dwara lagaye hue circles hataye ja sakte hai.
- Consolidated: Iss command ki sahayata se do table ko milakar teesri table banai ja sakti hai. Aisa karne ke liye vah sthan chunkar, Jahan hamen teesri table pradarshit karni hai, Is dialogue box mein function ke sthan per vah function chunna hota hai, Jo consolidated ke samay donon tables per lagu karna hai, Reference pahale table ki range select karenge tatha add per click karenge, Isi prakar dusri table ki range select karenge. Row tatha column heading label dekhne ke liye top row tatha left column check box ko on karenge. Last mein ok command ko apply karenge.
- What If Analysis:
- Scenario Manager: Iss command ka prayog formula mein prayog kiye gaye kisi bhi cell mein alag alag value rakhkar parinaam prapt karne ke liye kiya jata hai. Ek value ko ek scene ke naam se jante hai. Is command per click karne per scenario manager dialogue box pradarshit hota hai.
- Add: Naya scenario banane ke liye add button per click kiya jata hai. Iss command per click karne per edit scenario dialogue box pradarshit hota hai. Iss dialogue box mein scenario name ke sthan par uska naam tatha changing cell mein us cell ka address de jismein value badalkar parinaam rakhna chahte hai. Iske bad ok button per click karen, Click karne per scenario values dialogue box pradarshit hota hai. Iss dialogue box mein vah value type Karen, Jiske Aadhar per parinaam badalna chahte hai. Iske bad ok button per click Karen. Scenario ke dwara parinaam prapt karne ke liye show button par click kkare.
- Goal Seek: Yah command data mein kuch analysis karne ke liye prayog kiya jata hai. Iske dwara formula se prapt parinaam ke sthan per kisi bhi cell value ke parivartan karke purv nirdharit value ya parinaam prapt kar sakte hai. Iss command click karne per goal seek dialogue box pradarshit hota hai.
- Set Cell: Iss sthan per us cell ka address dena hai., Jismein formula prayog kiya gaya hai tatha formula se prapt parinaam mein parivartan karna chahte hain.
- To Value: Iss sthan par vah value type karen, Jise formula se prapt parinaam ke sthan per rakhna chahte hai.
- By Changing Cell: Iske sthan per us cell ka address de, Jismein parivartan karke formula dwara To Value jitna parinaam prapt karna chahte hai. Ok button per click karne per cell ki value badal jayegi. Udaharan ke liye maan lijiye teen sankhyaon 25, 50, aur 75 ka yog 150 hai. Hum chahte hain ki yog 175 hona chahiye. Sath hi hum yah bhi chahte hain ki yog 175 hone par 25 ank wali cell mein parivartan hona chahiye. Iske liye Goal seek dwara parinaam prapt karne ke liye nimn step ka prayog karen.
- Data Table: Iss command ki sahayata se pahle se prayog mein kiye gaye formula ke aadhar per nayi table banai ja sakti hai. Iske liye hamen sabse pahle 2 cell mein value bhar kar teesri cell mein parinaam prapt karna hota hai. Ab hum parinaam prapt wali cell ke samne va niche value bharenge. Uske bad hum parinaam prapt wali cell se lekar jahan tak value bharni hai waha tak select karenge. Uske bad Data Table comment ko lagu karenge. Uske bad hum Row input cell mein formula mein prayog ki gai pahle Row per click karenge tatha uske bad hum column input cell mein formula mein pariyog ki gai dusri cell par click karenge. Aisa karne per ek data table taiyar jo jaayegi.
- Group: Iss command ki sahayata se select ki hui cell range ke data ko ek group rakha ja sakata hai tatha hamen yah batana hota hai, ki hum data ka group row-wise banana chahte hain ya column-wise banana chahte hain tatha iske niche wale bhag per click karne per option pradarshit hota hai.
- Auto Outline: Yah command bina cell range select kiye hue apne aap Auto Outline lagaane ke kam aati hai.
- Ungroup: Iss command ka prayog group mein rakhi hui suchna ko ungroup mein kiya ja sakta hai tatha iske bhi niche wale part par click karen per option pradarshit hota hai.
- Clear Outline: Yeh command group ki group outline hatane ke kaam aati hai.
- Subtotal: Yah command select ki hui cell range ke data value ka subtotal karen ke liye prayog mein kiya jata hai. Yah command dene per subtotal dialogue box pradarshit hota hai.
- At Each Change In: Iss option mein us field ko chunenge, Jiske aadhar per Subtotal karna chahte hai.
- Add Subtotal To: Iss sthan par une sabhi field chunenge jinka hamen subtotal karna hai.
- Replace Current Subtotal: Iss check box ko on karne par pahle ki gai ganana (Calculation) ke sthan per naye subtotal ganana (Calculation) karega.
- Page Break Between Groups: Iss chunene par pratyek group ka subtotal alag page mein hoga.
- Summary Below Data: Iss option ko on karne par group total dekh sakte hai.
- Show Details: Iss command dwara chupi hui group details ko dekha ja sakta hai.
- Hide Details: Iss command dwara banaye gaye group ki details ko chupaya ja sakta hai
Chapter-6 Review Menu
Proofing Group: Iss part mein upsthit commands ki sahayata se spelling check, research, translate kiya ja sakta hai. Jiske karan grammar mistakes kam hoti hai.- Spelling: Is command ki sahayata se select ki hui cell range mein upsthit text ki spelling and grammar check ki ja sakti hai. Type kiye hue types ke niche laal va hare rang ki line pradarshit hoti hai, Usmein laal rang ki line ka matlab spelling mein error tatha hare rang ki line ka matlab grammar mein error hai. Is command per click karne per spelling dialogue box pradarshit hota hai.
- Ignore Once: Kisi aise shabd ko jo sheet mein bar bar repeat ho raha hai use ek bar bina janche chhodne ke liye iska istemal kiya jata hai.
- Ignore All: Kisi aise shabd ko jo sheet mein bar bar repeat ho raha hai use bina janche chhodne ke liye iska istemal kiya jata hai.
- Add To Dictionary: Kisi shabd ko computer ki dictionary mein jodne ke liye ye taaki vah shabd dubara galat na bataye iska istemal kiya jata hai.
- Change: Computer jis shabd ko galat bata raha hai use shabd ko computer ke Suggestion List Box mein se sambandhit shabd ko chunkar badalne ke liye iska istemal kiya jata hai.
- Change All: Computer jis shabd ko galat bata raha hai usse sambandhit sabhi shabdon ko computer ke Suggestion List Box mein se sambandhit shabd ko chunkar badalne ke liye iska istemal kiya jata hai.
- AutoCorrect: Is command per click karne per computer apne aap Suggestion List Box mein se sambandhit shabd ko chunkar us shabd ko sahi kar dene ke liye iska istemal kiya jata hai.
- Research: Is command ka prayog kisi shabd ke bare mein aur adhik jankari prapt karne ke liye kiya jata hai. Khaskar iska prayog kisi bhi shabd ka paryayvachi shabd khojne ke liye kiya jata hai. Shabd Khojne ke liye Go Button per click karen.
- Translate: Iska command ke dwara US English mein likhe gaye aksharo ko kisi dusri language mein badal sakte hain, Iske liye hamen HTML language mein type kar internet per bhejna hota hai.
- New Comment: Is command ki sahayata se select kiye hue text par comment lagaya ja sakta hai. Comment kisi bhi shabd ki adhik jankari ke liye prayog mein liya jata hai.
- Delete: Is command ki sahayata se document mein input kiye gaye comment ko delete kiya ja sakta.
- Previous: Cursor ki vartman position se piche wale comment per jaane ke liye is command ka prayog kiya jata hai.
- Next: Cursor ki vartman position se aage wale comment per jaane ke liye is command ka prayog kiya jata hai.
- Show/Hide Comment: Is command ki sahayata se document mein input kiye gaye comment ko show/hide kiya ja sakta.
- Show All Comment: Is command ki sahayata se document mein input kiye gaye sabhi comment ko dekha (Show) ja sakta.
- Show Ink: Is command ki sahayata se document mein input kiye gaye comment ko highlight kiya ja ssakta.
- Protect Sheet: Is command ki sahayata se worksheet mein password lagakar use surakshit kiya ja sakta hai. Worksheet ko protect karne ke liye hamen yahan batana hota hai ki contents, object tatha sentence mein se kin ke liye worksheet ko surakshit kar rahe hai. Ek bar is command ko lagu karne per yah unprotect mein badal jaati hai.
- Protect Worksheet: Iss command ki sahayata se workbook mein password lagakar use surakshit kiya ja sakta hai. Workbook ko do prakar se surakshit kiya ja sakta hai windows tatha structure. Yadi hum workbook ko structure ke liye protect kar rahe hain to us workbook mein insert, delete, rename, move or copy aadi option nahi kiye ja sakte. Yadi hum workbook ko windows ke liye protect kar rahe hain to workbook window ko minimise, maximize and close nahi kiya ja sakta hai.
- Share Workbook: Is command ki sahayata se workbook mein ek se adhik user ko karya ki anumati de sakte hain. Lekin iske liye Wan aur LAN connection bane hue hone chahiye. Aisa karne per sabhi user ke data server computer mein store hote jaenge tatha pradarshit hone wale dialogue box mein editing tab mein (Allow changeby more than one user at the same time. This also allows workbook merging) checkbox ko on per ek sath ek se adhik user ko workbook mein ek sath badlav karne ki anumati di ja sakti hai.
- Advanced: Is tab mein diye gaye main option nimn hai
- Track Change: Is option mein yah batana hota hai ki workbook mein kiye gaye badalavon ki history rakhni hai ya nahi aur rakhni hai, To kitne dinon tak.
- Update Change: Is option mein yah batana hota hai ki workbook mein kiye gaye badalavon ko kab save karna hai.
- Conflicting Changes Between User: Yadi badlav karte samay ek se adhik users ke madhye kisi bhi query per uljhan ho jaaye to is option se yah tay kar sakte hain ki kis user ka badlav save ho.
- Include In Personal View: Is option dwara workbook ki personal copy save kar sakte hai.
- Protect and Share Workbook: Is command ka prayog workbook ko network dwara dusre user ko share karne ki aagya dene tatha protect karne ke liye prayog kiya jata hai. Is command per click karne per Protect shared workbook dialogue box pratishat hota hai. Is dialogue box mein yah batana hota hai ki hum dusre user ko track changes aaj ke sath is workbook ko prayog karne ki anumati de rahe hai. Aisa karne ke liye Sharing with track changes check box ko on karke password type karna hota hai.
- Allow User To Edit Range: Is command ka prayog kar hum network mein user ko ek nishchit range password laga kar dekh. Taaki user keval utni hi cell range mein karya kar sake.
- Track Change: Yeh command workbook ko save karne ke bad kiye gaye parivartan ko highlight karen, sthai karne tatha hatane ke liye prayog kiya jata. Is command ka prayog karne per Highlight Changes menu pratishat hota hai.
- Highlight Change: Yah command workbook mein kiye gaye parivartano ko alag se highlight karne ke liye prayog kiya jata hai. Is command per click karne par Highlight Changes dialogue box show hota hai.
- Track Changes While Editing: Is check box ko on karne par editing karte samay kiye gaye parivartano ka track change ho jayega tatha un cells per ek indicator dikhai dega. Is cell per cursor le jaane se track change list dikhai de.
- When: Is check box ko on karne par hamen yah batana hoga ki kin-kin parivartano ko highlight karna hai. Ismein diye gaye mukhy (Main) option All, Since date, Since I last saved hai.
- Who: Is check box ko on karne par hamen yah batana hoga ki kin-kin users ke parivartano ko highlight karna hai.
- Where: Is check box ko on karne par hamen vah cell range paribhashit karni hoti hai, jismein kiye gaye parivartano ko highlight karna chahate hain.
- Highlight Change On Screen: Is check box ko on karne par kiye gaye parivartano ko screen par dekh sakte hai.
- List Changes On New Sheet: Is check box ko on karne par kiye gaye parivartano ko new sheet mein save kar sakte hai.
- Accept Or Reject Change: Is command ki sahayata se track changes dwara maloom kiye gaye parivartano ko workbook mein sthsi yah asthai kar sakte hain. Is command ko laagu karne per Select Changes to Accept or Reject dialogue box pradarshit hota hai.
- Is dialogue box mein batana hota hai ki kin parivartano ko workbook mein sthai karna hai tatha hatana hai. Is dialogue box se option ko select kar ok button per click karne per accept or reject dialogue box pradarshit hota hai
- Is dialogue box se Accept, Reject, Accept All or Reject All Button per click kar workbook mein kiye gaye parivartano ko sweekar kar sakte hain ya workbook se hata sakta hai.
Chapter-7 View Menu
- Normal: MS Excel workbook ka vah view hai jismein hum worksheet ke sabhi karya sampann karte hain arthat worksheet mein karya isee view mein kiya jata hai.
- Page Layout: Is view mein document waisa hi dikhai deta hai, Jaisa humne banaya hai ismein header, footer, picture, ruler bar tatha page break aadi sabhi dikhai dete hai.
- Page Break Preview: Is view mein worksheet dekh kar yah pata Laga sakte hain ki ismein kitne page hain evan kis page mein data kis tarah vyavasthit hai. Is view mein dekhai dene wali neeli line ko mouse se pakad kar page ki size reset kar sakte hain tatha isee view mein aage ka karya kar sake hai.
- Custom View: Worksheet ke kisee sthan per pahuchne ke liye athva kisi bhi bhag ko dekhne ke liye custom view ka prayog kiya jata hai.
- Steps for Custom View
- Us bhag ko select Karen, Jiska view badalna chahte hai.
- Iske bad add button per click karen.
- Add view screen mein name box ke andar view ka naam type karke ok button par click karen. Aisa karne par jo view add kiya gaya hai, yah view management dialogue box ki view list mein dikhai dega. Inheen step ka prayog karte hue kitne bhi view bana sakte hai.
- View ko dekhne ke liye view list se view name chunkar show command par click karen. Aisa karne per worksheet mein cell point us sthan per hoga jise cell range ka view bana rakha hai.
- Full Screen: Yah command excel worksheet ke sabhi commands ko full screen par dekhne ke liye prayog kiya jata hai. Ise lagu karne per excel window ke sabhi toolbar Jaise- ribbon, formula, bar aadi sabhi off ho jaate hain. Keval worksheet content ke sath full title bar pradarshit hota hai.
Show/Hide Group:
- Ruler: Is command ki sahayata se horizontal va vertical ruler bar ko on/off kiya ja sakta hai, Yah command page layout view mein hi karya karti hain. Yah ek toggle command hai.
- Gridlines: Is command ka prayog row and column gridline ko on/off karne ke liye kya jata hai.
- Formula Bar: Is Command ka prayog formula bar ko on/off karne ke liye kiya jata hai. Lekin yah bar screen per by default on rahta hai.
- Heading: Is command ka prayog row and column heading ko on/off karne ke liye kya jata hai.
Zoom Group:
- Zoom: Is command ke sahayata se worksheet ki display size ko chhota ya bada karke dekha ja sakta hai. Worksheet ki size ko maximum 400% tak zoom kiya ja sakta hai.
- 100%: Iske command dwara worksheet ke content ke display ko hundred percent zoom karke dekha ja sakta.
- Zoom to Selection: Is command dwara worksheet ke select content ke display ka zoom increase karke dekha ja sakta hai.
Window Group:
- New Windows: Iss command ka prayog vartman windows mein kiya ja rahe karya ko nai windows mein dekhne ke liye kiya jata hai. Nai window open karke dur sthit data ko paas paas dekha ja sakta hai.
- Arrange All: Is command dwara open ki gai new windows ko vyavasthit kiya ja sakta hai athva sabhi windows ko vyavasthit kiya ja sakta hai.
- Freeze Panes: Yah ek mahatvpurn command hai, iske dwara vishesh row and column ko ek sthan per jamaya ja sakta hai. Inhen ek sthan per jamane ke bad windows ki scrolling ke sath in row and column ki scrolling nahin hogi. Unhen sheet mein karya karte samay kisi bhi sthan per dekha jata hai.
- Freeze Top Row: Iske dwara top row ko jamaya ja sakta hai.
- Freeze First Column: Iske dwara first column ko jamaya jata sakta hai.
- Split: Is command dwara windows ko vibhajit kiya ja sakta hai. Iske lagu karne per active cell ke sabse upar baai aur cursor se char bhagon mein vibhajit ho jati hai.
- Hide: Is command dwara windows ko chhupaya ja sakta hai.
- Unhide: Is command dwara chhupai gai windows ko phir se dekh( unhide) ja sakta hai.
- View Side By Side: Is command dwara open ki gai sabhi windows ko side-by-side karke dekha ja sakta hai.
- Synchronous Scrolling: Is command dwara open ki gai sabhi windows ko ek sath scroll kiya ja sakta hai.
- Reset Window Position: Is command dwara open ki gai sabhi windows ko side-by-side karte samay windows space ko barabar karke dekha ja sakta hai.
- Save Work Space: Is command ka prayog file work space ko save karne ke liye kiya jata hai. Is file ki yah visheshta hoti hai ki file save karte samay cell pointer jahan hota hai, Vah vahi save ho jata hai. Jab file ko open kiya jata hai to cell pointer vahi dikhai deta hai. Jahan save kiya gaya tha. Save work space ki gai file ka extension ".XLWX" hota hai. Iska icon samanya workbook file se bhinn hota hai.
- Switch Window: Is command ka prayog open ki gai file ki extra windows mein, ek windows se dusri windows mein jane ke liye kiya jata hai.
- View Macro
- Record Macro
- Use Relative Reference
- Recording Macro: Is command naya micro record kiya ja sakta hai. Is command per click karne par record macro dialogue box open hota hai.
- Is dialogue box mein hamen Macro Name mein macro ka naam dena hota hai tatha agar macro ko keyword ke sath jodna chahte hain to hamen shortcut key mein Ctrl ke aage us key ko type karna hota hai. Taaki macro ko keyboard ke dwara bhi run karvaya ja sake. Jaise Ctrl+D, Ctrl + Q etc. Sabhi commands store karne ke bad recording band karne ke liye stop recording button dabaye.
- Running Macro: Is command dwara macro ko run kiya ja sakta hai. Is command per click karne per record Macro dialogue box show hota hai. Macro run karne ke liye macro suchi(list) se macro name select kar run command per click karen.
- View Macro: Iss command ki sahayata se banaye gaye macro ko dekha ja sakta hai.