![]() |
Namaskar Doston, Aaj ka humara topic hai how to create a gmail account on smartphone, Jaisa ki aap sab jante hai aaj kal duniya bhut teji se digital ho rahi hai, humare sabhi kam offline se shift ho kar online hone lage hai. Phir chahe education ho ya business, humein kisee na kisee kaary ke liye gmail account ki avashyakta hoti hi hai. Toh aaj hum apne smartphone se hi step by step sikhenge ki ek gmail account kaise banaya jaye.
What is Google Gmail?
Gmail account banane se pehle hum jaan lete hai ki gmail kya hai? Gmail ek google ka product hai jo google ki taraf se free e-mail service provide karta hai. Google ne apni gmail services ko 1 April 2004 globally launch kiya tha. Jiske sahayata aap online mail, message, documents, files share kar sakte hai.
How to Create a Gmail Account?
Agar aap ke maan mein yeh sawal uthe raha hai ki gmail account kisse liye banaye to aaiye jante hai. Apne bhut bar dekha hoga hum koi naya smartphone kharidte hai toh hamein gmail account se login hona padta hai ya phir Play Store se koi application install karni hoti hai tab bhi hamein gmail se login hona padta hai. Aur aap jante hai ki agar humein apne phone ko secure rakhna hai toh apps ko Play Store se hi download karna chahiye.
Dusri sabse badi wajah aaj kal hamein koi bhi online form bharne ke liye ek email id ki jarurat padeti hai. Phir chaahe college ka form bharna ho yeh phir government vacancy ka hamein ek gmail account ki jarurat padeti hi hai.
Yeh phir aap ek Youtube Channel start karna chahte hai. Tab bhi apko ek gmail account ki jarurat padeti.
What is required for an gmail account
Waise to gmail account ke liye apko apko kuch nahi chahiye lekin Google policy ke according apki age minimum 13 saal honi chahiye.
Smartphone se gmail account kaise banaye ke steps
Step 1: First of all search Gmail on any secure browser.
Step 2: Phir apke samne ek window open hoge jahan apko sign in ka option dekhega. Yeh apko create account ke option par tap karna hoga.
Step 3: Create Account par click karne par apko 2 option dekhege. Agar aap apane business ke liye gmail I'd bana chahte hai toh 'To manage my business' par click kar ya phir aap personal account banana chahate hai to 'For myself' par click kare.
Step 4: Uske baad apke samane ek new screen open hogi,Yeh Apko First name mein apka apna pehla naam bharana hai. Last name mein apka surname bharana hai.
Step 5: Next karne par apke samne janmatithi tatha ling bharne ka option aayega, inhe bharke apko next par click karna hoga
Step 6: Ab apko ek username bana hogo jisse aap gmail account banana chahate hai. Username unique hona chahiye jisse next option open kiya ja sakhe.
Step 7: Next option aapko yeh password ka dekhne ko milega, aap ka password strong aur secure hona chahiye. Apka password minimum 8 aksharon ka hona chahiye, jo ki akshar (Letters), sankhya (Numbers), Prateek (Symbols) ke mel se bana ho. Udhar - [email protected] Next option Mein apko dubara same password bhar ke Next Button par click karna hai.
Step 8: Next par click karne par apke samne ek aur nayi screen open hogi. Yeh apko apna mobile number bhar ke Next par click kar dena hai.
Step 9: Ab apke number par ek OTP bheja gaya hai google ki aur se apko vo OTP verify page ke par bharna hai phir verify ke button par click kar de.
Step 10: OTP verify karne ke baad apke samane ek naya page open ho. Yeh apko Recovery email, Your birthday, Gender ke option dekhne ko milenge. Agar apke pass koi mail id hai toh aap usse recovery mail mein dal sakte hai, ya phir aap isse khali chhod sakte hai. Next option mein apko apki janmatithi (Date Of Birth) bharni hogi. Next option mai apko apka gender chunana hoga. Gender chunane ke liye Gender box par Click kare. Yeh apko 3 options dekhne ko milege - Male, Female aur Others. Apka gender chunane ke baad next par click kare.
Final Step: Next page mein google aapse jana chahta hai ki aap uski dusri service use karna chahate hai. Agar apko google ki dusri services ka bhi fayda uthana hai toh Yes, I'm in par click kare yeh fir skip button par click kare. Option select karne ke baad apka Gmail account ready ho jayega.
Conclusion
This is all about creating a Google E-mail Account .
I hope you successfully created your
Gmail. If you are facing a problem in any
section or you have any questions then ask us in the comment box.
Thank You !!!