What tutorial do you want for the next article! Request Here!

How to Create a Youtube Channel | Step by Step Guide

Kya aap bhi chahte hai youtube channel bana? Toh chaliye jante hai ek youtube channel banane ke liye kin kin step ko follow karna chahiye.
Please wait 0 seconds...
Scroll Down and click on Go to Link for destination
Congrats! Link is Generated
How to create a youtube channel

Namshkar Dosto, Aaj ka hamara topic how to create a youtube channel. Aaj kal youtube kon nahi chalta hai. Phir chahe hamein gaane sune ho, comedy video dekhne ho ya phir kuch sikhna ho ham sabse pehle youtube par hi search karte hai. Apko iss platform par creditors se lekar badi badi company dekhne ko mil jayegi. Youtube par apko music, entertainment, sport, comedy, gaming,  news, educational ityaadi topics par video dekhne ko mil jayege. Yahaan apko video vlogging bhi dekhne ko mil jati hai.

Youtube Kya Hai?

Youtube Channel banane se pehle hum jaan lete hai ki Youtube kya hai? Youtube ek google ka product hai Jaise paypal ke 3 employees ne mil kar banaya tha jisse google ne november 2006 mein kharid liya tha.Youtube ko 14 February 2005 ko launch kiya gaya tha. Yahan aap video dekhne ke sath sath videos bhi upload kar sakte hai, Youtube apko ek platform deta hai jahan aap apne talent or hobbies ke dam par dekhne public ka pyar jitne ke sath sath paise bhi kama sakte hai. 

Youtube Channel Kyu Banaye?

Youtube channel banane ke bade fayde hai. Agar aapke pass ek youtube channel hoga toh aap online paise bhi kaam sakte hai aur fame bhi pa sakte ho. Agar aap koi website hai to aap youtube videos ke help bhi kar paoge. Aap apne website ko grow karne ke sath sath website par traffic bhi bada sakte ho. 

Agar aap comedy kar ke logo ko hansana jate hai yeh phir apka internet education mein hai to aap yeh padha sakte ho. Yeh apko bhut sari categories dekhne ko mil jati hai. Apka jisse category mein internet hai aap use chosse kar ke video bana kar share kar sakte ho.

List of Youtube Categories

  1. Autos & Vehicles
  2. Comedy
  3. Education
  4. Entertainment
  5. Film & Animation
  6. Gaming
  7. How to & Style
  8. News & Politics
  9. Non-profits & Activism
  10. People & Blog
  11. Pets & Animals
  12. Science & Technology
  13. Sports
  14. Travel & Events

Requirements For Youtube Channel?

  • Gmail Account: Apko Youtube channel banane ke liye ek gmail account ki jarurat padti hai. Agar apke pass gmail account nahi hai to aap youtube channel nahi bana sakte hai.

  • Vaild Mobile Number: Apke pass ek active number hona chahiye jise aap youtube channel ko verify kar sake.

  • Own Creation: Dhayan rakhe Jo video aap youtube par upload kar rahe hai vo copy paste video nahi hona chahiye. Kyu ki yeh youtube policy ke khilaaf hai.

  • Age: Youtube channel banane ke liye apko minimum age 18 varsh honi chahiye.

Steps To Create a Youtube Channel?

Step 1: Sabse pehle apko ek gmail account create karna hoga, jinke pass pehle se gmail account hai unhe apne browser mein jakar search bar mein www.youtube.com type karke search karna hoga. Search karne par apke samne youtube ka Home page open ho jayega.

How to create a youtube channel in hindi

Step 2: Youtube home screen par aane ke baad apko right side mein upar Sign in ka option show hoga, yeh se apko gmail id dal kar youtube mai sign in ho jana hai. Apko yahan usee I'd se Sign In karna hai jisse aap youtube channel bana chahte ho.

How to create a youtube channel in hindi

Step 3:  Sign In hone ke baad apko profile photo par click karna hoga, yeh apko bahut sare option dekhega ko mil jayege apko yeh create a channel par click karna hoga.

Step 4:  Click karne par apke samne ek popup window open hogi yeh apko Get started par click karna hai. Click kar ne par aapko do option mil jate hai.

How to create a youtube channel in hindi
  • Use Your Name: Agar aap chahte ho jise naam se apne gmail account banaya hai vo hi Apke channel ka name rahe toh use your name ke option ko select kare.
  • Use Custom Name: Agar aap nahi chahte ki apne jise naam se gmail account banaya tha vo naam se youtube banane toh aap  'Use custom name' option par click kare. 

Dono Option mein se ek option select karne par apka youtube channel taiyar ho jayege.

How to create a youtube channel in hindi

Step 5: Next option apko Upload  Picture ka mile jata hai. Yahaan apko apke channel ka logo upload karna hai.

Step 6: Logo upload karne ke baad apko description ke options mein apne channel ke bare mai description likhana hai. 

  • Description apke channel ka about us page hai jo audience ko apke channel ki information deta hai. Jaise ki apke channel par kisee topics par video upload ki jati hai etc.

Step 7: Next option apko social media links add karne ka mil jata hai. Iss option ki help se youtube channel par aap social media handles add kar sakte ho. Links add karne ke baad apko save and continue par click karna hoga.

Step 8: Continue karne par apke samne channel ka dashboard open ho jayega. Yeh apko upload video ka option mil jata hai. Agar apko video ready hai toh upload par click kar ke video upload kar sakte hai.

Tip: Kabhi bhi Youtube par legal videos, sexual content ya copy paste video upload na kare yeh apke channel ko harm bhi puchha sakta. Isliye hamesha original content upload kare.

Read also:

About the Author

Hey there! My name is Sandeep Kumar aka Sandy, a professional Web Designer, Graphic Designer, UI / UX Designer as well as Content Creator from Rajasthan, India. I love to Code and create interesting things while playing with it.

Buy me a Coffee

Post a Comment

To avoid SPAM comments, all comments will be moderated before being displayed.
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
AdBlock Detected!
We have detected that you are using adblocking plugin in your browser.
The revenue we earn by the advertisements is used to manage this website, we request you to whitelist our website in your adblocking plugin.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.